Laptop Deep Cleaning & Thermal Paste Replacement (Overheating Fix)
Kya aap ka laptop bohat garam ho jata hai, fan se tez awaz aati hai, ya automatic band ho jata hai? Yeh sab laptop ke andar dust jam jane aur thermal paste kharab hone ki waja se hota hai. Apne laptop ki life barhane aur performance behter karne ke liye hamari deep cleaning service hasil karein! Is Service Mein Shamil Hai: Laptop ko mukammal khol kar andar se dust aur gandagi ki safai. Processor (CPU/GPU) par high-quality Thermal Paste ki replacement taake heat control rahe. Cooling fan ki oiling aur servicing taake shor khatam ho jaye. Keyboard, body aur vents ki professional cleaning. Fayda: Laptop heating se mehfooz rehta hai, hanging ka masla khatam hota hai, aur battery timing par bhi acha asar parta hai! Apne expensive laptop ko kharab hone se bachayein aur regular servicing karwayein. Mazeed maloomat ke liye rabta karein


